usey batana
gham-e-zamana,

faraib dega
khayal rakhna!

wafa k raaste se lot jana

faraib dega
khayal rakhna!

sakoon dain gi wisaal raatein

chain de gay udaas lamhein

magar yah pal bhar ka muskarana

faraib dega
khayal rakhna!

tu khawab kisi ka
main khawab kisi ka
na pyaar mujh ko
na pyaar tum ko

ye ik dooje k pass aana

faraib dega
khayal rakhna!

jo qehr toota hai dil pe mere

wo qehr toote na ab kisi pe

yah dil jalana
yah ghar lutana

faraib dega
khayal rakhna!!!

usey batana gham-e-zamana
usey batana gham-e-zamana

Post a Comment

 
Top