Dareeche se jhankti wo ladki,
Ajeeb dukh se bhari huyi hai,

Ki uske aangan me phool par,
Ek neeli titli mari huyi hai,

Kabhi azaanon me khoyi khoyi si,
Kabhi namaazon me royi-royi si,

Wo aise duniya ko dekhti hai,
Ki jaise us_se dari huyi hai,

Darod se mehki mehki saansen,
Wazzefe padhti hui wo aankhen,

Ki ek sham_e_ummid unme
Kayi baras se padi huyi hai,

Wo dukh ke chadar me lipti lipti,
Wo kale kapron me simti simti,

Mohabbat usne kisi se shayad
Meri tarha se ki huyi hai.

Dareeche se jhankti wo ladki,
Dareeche se jhankti wo ladki,

Post a Comment

 
Top