Ujray hue logo se guraizan na hua kar
haalat ki kabroo k ye qutbay bhi parha kar
kya janye q taiz hawa soch mai gum hai
khwabeeda parindoo ko darakhto se ura kar
us shaks k tum se bhi marasam to hon gey
wo jhoot na bolay ga mere samnay aa kar
har waqt ka hansna tujhy barbad na kar de
tanhai k lamho mai kabhi ro bhi liya kar
wo aaj sadyo ki musafat pe khara hai
dhondta tha jisay waqt ki deewar gira kar
aye dil tujhy dushman ki bhi pehchan kaha hai
tu halka e yaara mai bhi muhtaat raha kar
is shab k muqadar mai sehar hi nahi "mohsin"
daikha hai kayi baar chiragho ko bujha kar
Ujray hue logo se guraizan na hua kar |
Post a Comment