phirte hai kab se darbadar,,
kabhi is nagar kabhi us nagar,,
ik doosre k humsafar,,
MAIN AUR MERI AWARGI,,
na aashna har rahguzar,,
na mehrbaan har ik nazar,,
jaye to ab jaye kidar,,
MAIN AUR MERI AWARGI,,
hum bhi kabhi abaad thay,,
aise kahan barbaad thay,,
befikr thay azaad thay,,
masroor thay dilshad thay,,
wo chaal aisi chal gaya,,
hum bujh gaye dil jal gaya,,
nikle jala k apna ghar,,
MAIN AUR MERI AWARGI,,
yah dil hi tha jo sah gaya,,
wo baat aisi kah gaya,,
kehne ko phir kia rah gaya,,
askhon ka darya bah gaya,,
jab kah k wo dilber gaya,,
tere liye main mar gaya,,
rotey hai us ko raat bhar,,
MAIN AUR MERI AWARGI,,
phirte hai kab se darbadar
Post a Comment