Gham-e-dukh dard ke wo nazaray tum na samjho gay,
Jo Din hum ne tumharay bin guzaray tum na samjho gay,


Tume kaisay btain tum hamaray wastay kya ho,
Samandar ki kahani mai Kinaray tum na samjho gay,

Bas itna jaan lo Ek shakhs se hum ne Muhabbat ki,
Hamaray tootne ka khail Pyaray tum na samjho gay,

Hazaron Mushkilon se khail kar bi Jeetnay wale,
Ye aakhir kis jaga par aa ke Haray tum na samjho gay...

Gham-e-dukh dard ke wo nazaray tum na samjho gay
Gham-e-dukh dard ke wo nazaray tum na samjho gay

Post a Comment

 
Top