tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye 
teri rah main karte the sar talab sar-e-rah-guzar chale gaye 

teri kaj-adai se har k shab-e-intazar chali gai 
mere zabt-e-hal se ruth kar mere gam-gusar chale gaye 

na sawal-e-wasl na arz-e-gam na hikayaten na shikayaten 
tere ahad main dil-e-zar k sabhi ikhtiyar chale gaye 

ye hamin the jin k libas par sr-e-rah siyahi likhi gai 
yahi dag the jo saja k ham sar-e-bazm-eyar chale gaye 

na raha junun-e-rukh-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya 
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahagar chale gaye

tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye|Sad Urdu Ghzals
tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye|Sad Urdu Ghzals

Post a Comment

 
Top