Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi 
Nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi 

Na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein 
Namaaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi 

Kisi tarah to jam-e-bazm maikade walo 
Nahin jo baadaa-o-sagar to haa-o-hoo hi sahi 

Gar intezar kathin hai to jab talak aye dil 
Kisi ke vada-e-farda ki guftagu hi sahi 

Dayaar-e-gair mein maharam agar nahin koi 
To 'Faiz' zikr-e-watan apne ru ba ru hi sahi

Post a Comment

 
Top