![]() |
Aakhri chand din december ke..| sad urdu poetry
Aakhri chand din december ke,
Har saal hi giraa’n guzarte hain,
Kese kese gumaan’n guzarte hain,
Raftaang ke guzarte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke saf’hon se,
Har barss ki tarah,
Diary ab bhi sawaal karti hai,
Kya khabar is barss ke aakhir tak,
Mere in be’chiraag saf’hon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,
Apne apne gharon mein rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Unki aankhon ke khaak’daanon main,
Ik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch be’nishaan saf’hon se,
Naam mera bhi katt geya ho ga..
Related Posts
- Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai | sad urdu ghzal03 Nov 20150
Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai | sad urdu ghzal Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai K...Read more »
- Sada Hasnte Raho Eid13 Jul 20150
Sada hasnte raho jaise hasnte hain phool, Duniya ke sare gham tumhe jayen bhool, Charo taraf phh...Read more »
- MUJHE TUM SE BATIEN KRNI HAI07 Jul 20150
Kabhi aajao tum pal bhar ko, Mujhe tum se batien krni hain, Kuch ghum k geet sunanay hain, ...Read more »
- Tum aao to hum bhi Eid karen07 Jul 20150
Tum aao to hum bhi EID karen Hasrat hai tumhari deed karen Kuch der to dil ko chain mily K...Read more »
- Kabhi waqt mile tu ajao01 Jun 20150
Kabhi waqt mile tu ajao hum jheel kinare ja bethen tum apne sukh ki bat karo hum apne duk...Read more »
- Abhi to raat baaqi hai01 Jun 20150
Abhi to raat baaqi hai Abhi to raat baaqi hai Abhi to raat baaqi hai.. Yeh dhal jaye to so ja...Read more »
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.